Guest Posting Rules
Welcome to TECHRVG Guest Post Polily, bahut achhi bat hai ki aap TECHRVG par as a author guest post karna chahate hai. Agar aapne abhi tak TECHRVG ki membership nahi li hai to aap apna account create kar le.
Guest Post Policy
Guest post karne se pahle aapko is guideline ko achhe se read kar le taki aapki post ko publish hone me koi problem na ho.
- Content Quality: Aesi post likhe jo TECHRVG reader ke liye useful and helpful sabit ho.
- Words Limit: article content kam se kam 700 words me likha hua hona chahiye.
- Add Image: Post me minimum ek image (featured image) jarur add kare. Image khud se bana kar ya jaha se bhi add kare credit ke sath kare.
- Credit: Hum aapka or aapke hard work ka respect karte hai. Agar aapke content me kisi ko credit dena jarur hai to jarur de. Same wesa hi image ke liye kaha gaya hai. Jaha jarurat ho waha credit link add kare.
- Article Value: Aesi post na likhe jo pahle se SMI blog par likhi ja chuki hai..
- Avoid Typing Mistake: Post content me typing mistake na ho aur jaha jarurat ho wahi capital word use kare
- Commenting: Apni post ke publish hone ke bad us par user ki comments ka answer de. Isse aapki image aur jyada better hogi.
- Copyrighting: hum aapke kaam ka samman karte hai, lekin agar hume pata chala ki aapne kahi aur se post copy ki hai to aapko turant block kar diya jayega. Aapki sabhi post aur profile ko TechRVG se remove kardiya jayega.
- Self Promotion: Post content me affiliate link, span link, own site link add na kare, hum kisi bhi tarah ka promotion content allow nahi karte.
Post Kin Kin Topic Par Likh Sakte Hai?
Aap un sabhi category se related content likh sakte hai jo is blog me pahle se add hai. Yaha main unme se kuch ka link de raha hu.
Agar aap inke alawa kisi aur topic par likhna chahate hai to hume contact kare, hum is bare me discuss karenge, aapka content acha hoga to use publish kiya jayega aur new category bhi banayi jayegi.
Agar aap in rules ko follow kar sakte ho to abhi Tech RVG Membership page par ja kar humari community ko join kar sakte hai.